Naarwa hai sukhan shikayat ka
Naarwa hai sukhan shikayat ka
Wo nahin tha meri tabiyat ka
Dasht mein shaher ho gye aabad
Ab zamana nahin hai wahshat ka
Waqt hai aur koi kaam nahin
Bas maza le raha hun fursat ka
Mar gye khwab sabki aankhon ke
Har taraf hai gila haqeeqat ka
Ab mujhe dhyan hi nahi aata
Apne hone ka apni haalat ka
Tujhko paakar zyaan huwa humko
Tu nahin tha humari qeemat ka
Subah se shaam tak meri duniya
Ek manzar hai uski rukhsat ka
Kya bataon ki zindagi kya thi
Khwab tha jaagne ki haalat ka
Kahte hain inteha e ishq jise
Ik faqat khel hai murawwat ka
Zindagi ki ghazal tamaam hui
Qaafiya rah gaya MOHABBAT ka
Jon Elia
Comments
Post a Comment