Bhale dino ki baat hai, bahli si ek shakl thi Na ye ki husn e jaam si, na dekhne me aam si Na ye ki wo chale to, kahkasha'n si rahguzar lage Magar wo saath ho to phir, bhala bhala safar lage Koi bhi rut ho uski ada, fiza ka rang o roop thi Wo garmiyon ki chhaao'n thi, wo sardiyon ki dhoop thi Na muddaton juda rahe, na saath subah o sham ho Na rishta e wafa pe zid, na ye ki izn e aam ho Na aisi khush libasiya'n ki saadgi gila kare Na itni betakallufi, ki aaina haya kare Na aashiqi junoon ki, ki zindagi azaab ho Na is kadar kathorpan, ki dosti kharab ho Ajnabi sa tha rishta usse, aashna si uski dosti Ab uski yaad raat din ! Nahi magar......kabhi kabhi