Bhale dino ki baat hai, bahli si ek shakl thi


Bhale dino ki baat hai, bahli si ek shakl thi

Na ye ki husn e jaam si, na dekhne me aam si


Na ye ki wo chale to, kahkasha'n si rahguzar lage

Magar wo saath ho to phir, bhala bhala safar lage


Koi bhi rut ho uski ada, fiza ka rang o roop thi

Wo garmiyon ki chhaao'n thi, wo sardiyon ki dhoop thi


Na muddaton juda rahe, na saath subah o sham ho

Na rishta e wafa pe zid, na ye ki izn e aam ho


Na aisi khush libasiya'n ki saadgi gila kare

Na itni betakallufi, ki aaina haya kare


Na aashiqi junoon ki, ki zindagi azaab ho

Na is kadar kathorpan, ki dosti kharab ho


Ajnabi sa tha rishta usse, aashna si uski dosti

Ab uski yaad raat din ! Nahi magar......kabhi kabhi

Comments

Popular posts from this blog