Kis darja haseen tha mere mahaol ka gham bhi
Kis darja haseen tha mere mahaol ka gham bhi Main bhool gya aapke andaz e sitam bhi Uljhe huye lamhat ke taareek e safar mein Aaye hain bahot yaad teri zulf ke kham bhi Ik lamha to dam lene de aaghosh e sukoon mein Aie gardish e halat kisi mod pe tham bhi Palkon pe sajaye huye zakhmon ke nageene Guzrenge kisi roz tere shaher se hum bhi Manzar to zara dekhiye ruswai e fan ka Bikne lage bazar mein arbaab qalam bhi