Kis darja haseen tha mere mahaol ka gham bhi
Kis darja haseen tha mere mahaol ka gham bhi
Main bhool gya aapke andaz e sitam bhi
Uljhe huye lamhat ke taareek e safar mein
Aaye hain bahot yaad teri zulf ke kham bhi
Ik lamha to dam lene de aaghosh e sukoon mein
Aie gardish e halat kisi mod pe tham bhi
Palkon pe sajaye huye zakhmon ke nageene
Guzrenge kisi roz tere shaher se hum bhi
Manzar to zara dekhiye ruswai e fan ka
Bikne lage bazar mein arbaab qalam bhi
Posted by : Raees Khan
Comments
Post a Comment