Tu nahi to zindagi me aur kya rah jayega
Ghazal
Tu nahi to zindagi me aur kya rah jayega
Door tak tanhaiyo'n ka silsila rah jayega
Dard ki saari tahe'n aur saare guzre afsaane
Sab dhuwa'n ho jayenge ik waaqya rah jayega
Yun bhi hoga wo mujhe dil se bhula dega magar
Yun bhi hoga shayad wo mujhe dhondta rah jayega
Wo jo mausamo ki tarah badalta hai apne rang dhang
Main jo badla ik baar to wo dekhta rah jayega
Yun dilon se khelo na ki dil se dil takra gaya jo
Zakhm to bhar jayenge par haadsa rah jayega
Posted by : Raees Khan
Comments
Post a Comment